Behen aur Bhai by Cecilia Beaux - 1897 Behen aur Bhai by Cecilia Beaux - 1897

Behen aur Bhai

Canvas pe oil •
  • Cecilia Beaux - May 1, 1855 - September 17, 1942 Cecilia Beaux 1897

Is akarshak drishya ke saath hum Rashtriya Sahodar Divas mana rahe hain jo behen bhai ke beech ki  kuch gatikiyon ko darshata hai. Ek halke sunehre rang ke balowala chota ladka, choga pehna hua, apni badi behen ko dekhte hi apne peeche ek cheez, jo khilaune jaisi lag rahi hai, chupa raha hai. Is chitrakala ka pariprekshya ek vayask ki ek chote bache ke taraf duri se dekhne wali hai. Furniture prushtabhoomi main andhiyara hone ki wajah se fika dikh raha hai jis wajah se wo nazar main nahi aa raha. Aadi brush ki rekhaon se galicha banaya gaya hai jo karib karib dono bachoon ko gher raha hai jiski wajah se kendra bacche ban rahe hai. Ek laal rang ki chhint se dekhne wale ka dhyan ladke ke haath main hone wali cheez pe jata hai. Ladki ka acharan aur chal chalan main santulan aur shanti hai par uski kali aankhein uske chote bhai ki taraf lakhshya se ektak dekh rahi hai jo antim chetavani darshati hai. Unki beechki baton ki kalpana ki ja sakti hai. Kya us ladki ka chota bhai khilaune ka atmasamarpan karega?

Jani mani amriki kalakar Cecilia Beaux unki samajik chitrakala ke liye jani jati thi. Ve John Singer Sargent ki pratispardhak thi. Philadelphia main pali badhi, unhone jani mani Pennsylvania Academy of Fine Arts (PAFA) se padhai ki. Unki upalabdhiyon ke vyatirikt, 32 ki umra main, ve Paris apne kala ko aur gehra banane gayi. Jab impressionism ke umang ke din the, Beaux ne ghar ke bahar painting nahi banayi aur apne shaikshik prashikshan se sachi rahi. Do saal desh ke bahar rehne ke baad, ve United States wapas ayi jahan ve pehli mahila bani jise PAFA main ek adhyapika banne ka mauka mila. Beaux us jamane ki 'nayi mahila' ki pratik bani jo shikshit, safal, bhavishya unmukh thi. Apni kala ko prathamikta dete hue unhone shadi ke kayi rishtey thukraye - ve hamesha avyavahit rahi.  

P.S. Yahan aapko sunder chitrakalaon ka chayan milega jahan kalakaro ke bacho ko unke ma ne chitrit kiya hai.