Topi main Chitra by गुस्ताव क्लिम्ट - 1917 -1918 - 570 x 375 mm Topi main Chitra by गुस्ताव क्लिम्ट - 1917 -1918 - 570 x 375 mm

Topi main Chitra

Kagaz • 570 x 375 mm
  • गुस्ताव क्लिम्ट - १४ जुलाई, १८६२ - ६ फरवरी, १९१८ गुस्ताव क्लिम्ट 1917 -1918

Gusta Klimt ne apni antariya bhavnao ko aur manodasha ko, jinki shaili sundar hai aur jo sarvavyapi shringarik hai, apni chitrakala main utarte hue naye mapdando ko kala main sthapit kiya. Uttejak sukhvadi aise Klimt ko Vienna ki uccha star ke striyon ka chitra banane ki achi kimat milti thi. Yah chitro ko bohot lokpriyata mili jisse Klimt ko apni kala darshane ki azadi mili. Dhani mahilao ki aur models ki akritiyon ka chitra bananese pehle unhone kayi prarambhik chitra banaye. Ye prarambhik chitra unke chitrakala ka niji bhag tha jo pradarshan ke liye nahi tha. Ek shighra aur bhavvahak chitra main, kayi bar, ve apni models ko kamuk mudra main darshate the. Klimpt ke aakhri salo main, unhone ek Vienna ki parikrushta mahila ka chitra 'Topi main Chitra' main banaya jo abhi Prague ke National gallery main hai. Is chitra main us mahila ki kuch visheshta dikhti hai jaise - ek agra, atma-ashavasan wala roop jisme uski aankhein aadhi band hai aur thodee gol aur shaktishali hai. Ye chitra jinki rekhain badi asani aur atmavishwas ke saath banayi gayi hai darshati hai ki ye ek mahir kalakar ka kaam hai.

Hum Prague main Národní galerie Praha ke shukraguzar hai ki hum ye chitrakala aaj pesh kar sake. :) Mujhe ye chitra bada pasand hai. :)

P.S. Gustav Klimt ka janm Austria main san 1862 main hua tha. Kala ke itihas main ve duniya main un gine chune kalakaro main se hai jo bahut mane jate hai. Kyon hai Gustav Klimt jane mane? Padhiye yahan!